Wednesday 21 November 2012

Life: a colorful painting


Beautiful colors,
Some bright, some dull
All combined
Have made the picture,
The collage called life

Each one
Has been so important
Has had it’s place

The blacks, the whites
The greys , the brights…
Intermingled
All mixed together
Have made this painting
A beautiful sight

Sunday 8 July 2012

Aasmaan


Haan Maan,...
mujhe choona hai aasmaan,..
na roko mujhe
na toko mujhe
saje hain kuch khwab
khwabon mein hai par mile
ud jaana hai
failaa ke par
mujhe choona hai
aaasmaan..

haan maan
mujhe choona hai aasmaan
mujhe chalne do
mujhe badhne do
adchan ho sahi
joojhenge jaise bhi
bandhan na ho koi magar
itni hi vinti yahan

haan maan
mujhe choona hai aasmaan
mujhe jaana hai
duji koi or
anokhe sapne hain
saje palkon ke chor
mujhe jeena hai
vo anokha jahan

haan maan
mujhe choona hai aasmaan

Sunday 6 May 2012

Roshni to hai magar, apne hi andheron mein bas rahe hain hum....





















Dekhte kisi tasveer ko
khayaal aate hain kayi mann mein
chavi dikhti hai mann ki shayad
har kisi ko us tasveer mein......

Saturday 28 April 2012

College ki duniya: My first semester in college



College ki duniya…
Byaan karein kya iske baare mein
Ye to pehle se hi hai sab ki nazron mein!

pehla din humaara is jagah mein
Aisa tha jaise pahunchein ho hum jannat mein!!!
Orientation mein vo director sir ka lecture,
Vo design curve ki presentations aur projection ki movie
Vo ed boards ki intro aur campus ka darshan…
In sab ne bhar diya itna utsaah humaare mann mein!
Ki chaar din bitne ki bhanak bhi naa hui humein!

Phir aayi padhaai ki baari
Isne diya humein dhakkka bhaari
Jahaan orientation mein thi mauj masti itni saari,
Vohin classes ki zordaar barish ne dubo di jannat humaari !!!

Dheere dheere bitne lage din,
College ke clubs bhi mehsus karne lage adhoore se first yearites ke bin!
Unhone bhi shuru kardi fir apni paari!
Shuru hui sab ki bhartiyan baari baari!

Pata hi nahin chala is chakkar mein,
Kab bit gaye khushiyon ke din aur pahunch gaye hum sessionals ke shikange mein!
Teen din vo aise mehsus hue ki chal rahe hon hum antariksh mein!
Din raat ne mila liye haath aur le gaye humein ik daraavni  duniyaan mein!

Sessionals ne bhi khatm to hona hi tha,
Isi soch ne humein thoda aage rakha!
Ye bhi din aakhir guzar hi gaye,
Hum antariksh se bahar aa hi gaye!

Icha fir se paida hui thodi masti ki,
Fir humaare mann ne thodi khushi zaahir ki!
Kai pratiyogitayein clubs ne organise ki,
Usme sabne apni badhaas nikaalne ki koshish ki!

Itna to pata tha ki fir se aayega ik toofaan,
Sessionals karenge fir ik vaar!
Ye nahin socha tha fir bhi
itni jaldi uthaane padenge hathiyaar!


Fir se aaya vohi daur,
Jo de gaya humein andhere ghor !
Pahunch gaye hum fir vohin pe,
Jahan se niklne ke liye apnaaaye the kai tareeke!

Pal to ye beet ab ki baar bhi gaye
Par is baar himmat humaari saath hi le gaye!
Semesters ka darr aisa chaane laga
Ki saari or andhera sa mehsus hone laga!

Aakhir vo din aa hi gaye,
Humaari khushi ko nazar laga hi gaye!
Humaari saari mehnat par paani vo fer hi gaye!
Takleef vo humein itni dekar par apne aap chale bhi gaye!

Itna khauf jaise kuch kam pad gaya ho,
Humaara sukh jaise kisi ko raas na aaya ho,
Marne ki hum sab ko jaise saajish rachni ho,
Humein aur tang karne ke liye results le aaye vo!

Is baar magar hum bhi kuch kam naa pade,
Chale gaye ladne unse jo humesha humein daraate rahe!
Vo kya humein isbaar darraate,
Besharm ban kar hum apne aap par hi hasne lage!!

Saturday 21 April 2012

aaj baithe hain kitaab khol kar

aaj baithe hain kitaab khol kar
likhne ki har vajah tatol kar
aj likhenge hum jo kabhi likha nahi
vo sab kuch jo vyakt kabhi kiya nahi
aaj sab keh dalenge khud se
baatein karenge aaj dil khol kar

aaj baithe hain hum kitaab khol kar
padhne ko vo jo kabhi dikha nahi
aaj samjhenge vo sab baatein
jo kabhi humne khud se ki nahi
aaj jaanenge dil ki har vo tamanna
anjaan ban kar rahe jinse aaj tak

aaj baithe hain hum kitaab khol kar
bharne ko vo khali panne
jinhein kora choda tha aaj tak humne
rang bharenge aaj har panne par

aaj baithe hain hum kitaab khol kar
un rangon ka matlab samajhne
jinki pehchaan bhi na thi aaj tak

aaj baithe hain hum kitaab khol kar....

Monday 12 March 2012

Mann

Kaise badalte hain hum,
kabhi is gali kabhi uss dagar,
kaise machalta hai mann...
kabhi to kuch pana chahe,
kabhi wahi pasand na aaye..
jisko paane ki chah
kabhi ise jakadti jaye,.
mil jane par wahi
isko santushti raas na aaye

kabhi to thehar ja
thoda sa tham ja
kisi ik mod pe ruk kar
kabhi to nazaare ka luft utha,..

kyon har baar ise kuch naya sa chahiye
 kyon har baar ise kuch alag karna hai
kyon roke nahi rukta ye
kyon chalte hi jaana hai

kuch acha kuch bura hai ismein
kyon bura ye tyag na paaye
santusht ho jaye yadi ye
par badhne ki, kuch karne ki chah na jaye....