Saturday 28 April 2012

College ki duniya: My first semester in college



College ki duniya…
Byaan karein kya iske baare mein
Ye to pehle se hi hai sab ki nazron mein!

pehla din humaara is jagah mein
Aisa tha jaise pahunchein ho hum jannat mein!!!
Orientation mein vo director sir ka lecture,
Vo design curve ki presentations aur projection ki movie
Vo ed boards ki intro aur campus ka darshan…
In sab ne bhar diya itna utsaah humaare mann mein!
Ki chaar din bitne ki bhanak bhi naa hui humein!

Phir aayi padhaai ki baari
Isne diya humein dhakkka bhaari
Jahaan orientation mein thi mauj masti itni saari,
Vohin classes ki zordaar barish ne dubo di jannat humaari !!!

Dheere dheere bitne lage din,
College ke clubs bhi mehsus karne lage adhoore se first yearites ke bin!
Unhone bhi shuru kardi fir apni paari!
Shuru hui sab ki bhartiyan baari baari!

Pata hi nahin chala is chakkar mein,
Kab bit gaye khushiyon ke din aur pahunch gaye hum sessionals ke shikange mein!
Teen din vo aise mehsus hue ki chal rahe hon hum antariksh mein!
Din raat ne mila liye haath aur le gaye humein ik daraavni  duniyaan mein!

Sessionals ne bhi khatm to hona hi tha,
Isi soch ne humein thoda aage rakha!
Ye bhi din aakhir guzar hi gaye,
Hum antariksh se bahar aa hi gaye!

Icha fir se paida hui thodi masti ki,
Fir humaare mann ne thodi khushi zaahir ki!
Kai pratiyogitayein clubs ne organise ki,
Usme sabne apni badhaas nikaalne ki koshish ki!

Itna to pata tha ki fir se aayega ik toofaan,
Sessionals karenge fir ik vaar!
Ye nahin socha tha fir bhi
itni jaldi uthaane padenge hathiyaar!


Fir se aaya vohi daur,
Jo de gaya humein andhere ghor !
Pahunch gaye hum fir vohin pe,
Jahan se niklne ke liye apnaaaye the kai tareeke!

Pal to ye beet ab ki baar bhi gaye
Par is baar himmat humaari saath hi le gaye!
Semesters ka darr aisa chaane laga
Ki saari or andhera sa mehsus hone laga!

Aakhir vo din aa hi gaye,
Humaari khushi ko nazar laga hi gaye!
Humaari saari mehnat par paani vo fer hi gaye!
Takleef vo humein itni dekar par apne aap chale bhi gaye!

Itna khauf jaise kuch kam pad gaya ho,
Humaara sukh jaise kisi ko raas na aaya ho,
Marne ki hum sab ko jaise saajish rachni ho,
Humein aur tang karne ke liye results le aaye vo!

Is baar magar hum bhi kuch kam naa pade,
Chale gaye ladne unse jo humesha humein daraate rahe!
Vo kya humein isbaar darraate,
Besharm ban kar hum apne aap par hi hasne lage!!

Saturday 21 April 2012

aaj baithe hain kitaab khol kar

aaj baithe hain kitaab khol kar
likhne ki har vajah tatol kar
aj likhenge hum jo kabhi likha nahi
vo sab kuch jo vyakt kabhi kiya nahi
aaj sab keh dalenge khud se
baatein karenge aaj dil khol kar

aaj baithe hain hum kitaab khol kar
padhne ko vo jo kabhi dikha nahi
aaj samjhenge vo sab baatein
jo kabhi humne khud se ki nahi
aaj jaanenge dil ki har vo tamanna
anjaan ban kar rahe jinse aaj tak

aaj baithe hain hum kitaab khol kar
bharne ko vo khali panne
jinhein kora choda tha aaj tak humne
rang bharenge aaj har panne par

aaj baithe hain hum kitaab khol kar
un rangon ka matlab samajhne
jinki pehchaan bhi na thi aaj tak

aaj baithe hain hum kitaab khol kar....